wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin
yahan kisi mein wo pahla sa rabta hi nahin
main KHushbuon ke taaqub mein aa gaya hun wahan
jahan se lauT ke jaane ka rasta hi nahin
ye KHud-sari ya shararat usi ka hissa hai
wo koi khel mohabbat mein haarta hi nahin
ye e'tiraf bhi ghabra ke kar liya main ne
main chahta hun tujhe sirf sochta hi nahin
uDa ke le gaya raaton ki nind aankhon se
wo kam-suKHan jo kabhi mujh se bolta hi nahin
pukarta hun main us ko usi ki chaukhaT se
kiwaD jism ke jo mujh pe kholta hi nahin
tabah ho gae KHuddariyon mein donon 'rais'
wo KHud ko saunp de lekin main mangta hi nahin
Ghazal
Wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin
Raees Ansari