wo rangat tu ne ai gul-ru nikali
nichhawar ko gulon ne bu nikali
mizaj-e-bu-e-sumbul kar ke mauquf
saba nai nikhat-e-gesu nikali
na thi jaane ki us tak rah dil ki
chhuri se chir ke pahlu nikali
nikasi jab na dekhi yas dil ki
baha ke aaTh aaTh aansu nikali
hamari ruh ek rashk-e-chaman ne
sungha ke phul ki KHushbu nikali
mere sayyaad ne bulbul ki mayyat
qafas se toD ke bazu nikali
kiya us se jo KHush-chashmi ka dawa
teri jaegi aankh aahu nikali
sulaimani dikha di shan tum ne
pari-ru mang wo KHush-ru nikali
nikala husn ka arman tu ne
meri hasrat na ai dil-ju nikali
chaman mein bhini bhini bu ne un ki
na basne di gai shabbu nikali
dahan-e-zaKHm se talwar chumi
ba-shakl-e-bosa-e-abru nikali
qayamat ka shabab us ne nikala
'sharaf' changez-KHani KHu nikali
Ghazal
Wo rangat tu ne ai gul-ru nikali
Agha Hajju Sharaf