wo ram-shiar mera shoKH-dida aaya tha
wo ishwa-sanj kashida kashida aaya tha
kiya hai chashm-e-murawwat ne aaj mail-e-mehr
main un ki bazm se kal aabdida aaya tha
jo raaz-e-dil tha wo KHalwat mein sab kaha hum ne
koi bhi sath nahin tha jarida aaya tha
wo murgh-e-bismil-e-ulfat fida-e-husn tera
ba-shakl-e-tair-e-rang-e-parida aaya tha
wo tere jazb-e-mohabbat ka shauq-e-mastana
junun-libas gareban darida aaya tha
tumhaara bulbul-e-kashmir shefta shaida
bahaar-e-jalwa liye ek qasida aaya tha
sitam-zarif hain pir-e-mughan bhi mai-KHwaro
kahan surur mein 'saqi' na-dida aaya tha
Ghazal
Wo ram-shiar mera shoKH-dida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi

