اردو हिंदी
Wo rahbar to nahin tha iada kya karta | Shaahi Shayari
wo rahbar to nahin tha iada kya karta

Ghazal

Wo rahbar to nahin tha iada kya karta

Yaqoob Arif

;

wo rahbar to nahin tha iada kya karta
bana ke rah mein wo koi jada kya karta

naha raha ho ujalon ke jo samundar mein
wo le ke zulmat-e-shab ka labaada kya karta

har ek shaKHs jahan maslahat se milta ho
wahan kisi se koi istifada kya karta

na jis mein rang na KHaka na koi aks-e-jamal
bana ke aisi main taswir-e-sada kya karta

mahaz-e-jang mein wo apne farz ki KHatir
na deta jaan to aaKHir piyaada kya karta

jahan pe hota ho insaniyat ka KHun 'arif'
main aisi duniya mein rah kar ziyaada kya karta