wo qaza ke ranj mein jaan den ki namaz jin ki qaza hui
tere mast-e-baada-e-shauq ne na kabhi paDhi na ada hui
tere daur-daura-e-ishq mein meri ek rang se kaT gai
na sitam hua na karam hua na jafa hui na wafa hui
mujhe ghair-e-ijz-o-niyaz ne tere dar pe ja ke jhuka diya
na to koi ahd likha gaya na to koi rasm ada hui
mera dil bhi tha meri jaan bhi thi na wahi raha na yahi rahi
mujhe kya KHabar ki wo kya hua mujhe kya KHabar ki ye kya hui
meri umr 'muztar'-e-KHasta-dil kaTi ranj-o-dard-o-firaq mein
na kisi se meri dawa hui na dawa se mujh ko shifa hui

Ghazal
Wo qaza ke ranj mein jaan den ki namaz jin ki qaza hui
Muztar Khairabadi