wo pipal ke tale TuTi hui mehrab ka manzar 
dikha deta hai mujh ko ek dil-e-betab ka manzar 
chala kar kaghzi kashti koi masum hansta tha 
bahut hi KHub-surat tha kabhi talab ka manzar 
safar wo mutmain karta raha biphre samundar mein 
ki us ke zehn mein ubhra na tha girdab ka manzar 
thapeDon mein bhi sar mahfuz hain pakke makanon ke 
tum aankhen khol kar dekho zara sailab ka manzar 
aqidat se bahae phul yun jhuk kar pujaran ne 
ki rangin ho gaya dariya mein ek girdab ka manzar 
sukun rahat tabassum git sanson mein ghuli KHushbu 
'sadaf' lagta hai mujh ko ye anokhe KHwab ka manzar
        Ghazal
Wo pipal ke tale TuTi hui mehrab ka manzar
Sadaf Jafri

