اردو हिंदी
Wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi | Shaahi Shayari
wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi

Ghazal

Wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi

Sabir Waseem

;

wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi
use lana jaan ganwana tha aur apni jaan parai thi

wo raat ka tul-tawil safar kya kahiye kaise aai sahar
kuchh main ne qissa chheDa tha kuchh us ne aas bandhai thi

KHwabon se udhar ki masafat mein jo guzri hai kya puchhte ho
ek wahshat chaar-pahar ki thi ek jalti hui tanhai thi

wo raat ki jis ke kinaron par hum milte aur bichhaDte the
ek bar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi

har sham ufuq ki duri par koi sahma sahma phirta tha
taswir jo us ki banai to KHud apni shakl banai thi