wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain
ye sab to ghar jaisa hai wo viraniyan kahan hain
wahi ummiden shikast-e-dil ki wahi kahani
wo jaan-ba-kaf doston ki qurbaniyan kahan hain
sulag rahe hain zamin zaman phir bhi puchhte ho
sharar-faroshon ki qahr-samaniyan kahan hain
qadam qadam par fareb pag pag nukile kanTe
chaman tak aane ki ab wo aasaniyan kahan hain
'raza' ye mahfil to sard hi hoti ja rahi hai
kahan hain shamen wo shoala-samaniyan kahan hain
Ghazal
Wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain
Kalidas Gupta Raza