wo pech-o-KHam jahan ki har ek rahguzar mein hai 
KHud karwan-e-waqt bhi ab tak safar mein hai 
yaro kahan wo jalwa-e-shams-o-qamar mein hai 
jo nur jo ziya mere dagh-e-jigar mein hai 
hai wada-e-visal-e-sanam ki wo sarKHushi 
har shai hasin ab meri fikr-o-nazar mein hai 
manzil baghair tai kiye leta nahin hun chain 
ye dam ye hausla hi kahan rahbar mein hai 
kuchh gham nahin ki ho meri hadd-e-nazar se dur 
lekin tumhaari yaad to qalb-o-jigar mein hai 
har bahr har zamin mein kahta hun KHub sher 
kab ye kamal ab kisi ahl-e-hunar mein hai 
jis se ayan ho dahr ka ehsas-e-be-ruKHi 
aaina wo 'jamal' hamari nazar mein hai
        Ghazal
Wo pech-o-KHam jahan ki har ek rahguzar mein hai
Harbans Lal Aneja u0027jamaalu0027

