wo pau phaTi wo kiran se kiran mein aag lagi
wo shab ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein aag lagi
sulag uThi wo rida-e-nujum-o-kahkashan
wo dekh daman-e-charKH-e-kuhan mein aag lagi
nashat-e-garmi-e-mahfil thi jis ki tabani
isi charagh se kyun anjuman mein aag lagi
hazar shams-o-qamar bujh gae pa ye na bujhi
ye kis diye se patangon ke man mein aag lagi
tamam umr ke aansu use bujha na sake
jo dil se ta-ba-jigar dam-zadan mein aag lagi
bhula sakegi na duniya ye hadisa ki 'adib'
charagh-e-lala-o-gul se chaman mein aag lagi
Ghazal
Wo pau phaTi wo kiran se kiran mein aag lagi
Adeeb Saharanpuri