wo pathrai si aankhon ko bhi kajal bhej deta hai
sulagti dopahar mein jaise baadal bhej deta hai
main apne sab masail bas usi par chhoD deta hun
mere uljhe masail ka wahi hal bhej deta hai
jahan wale use jab yaad karna bhul jate hain
zaminon ki tahon mein koi halchal bhej deta hai
jahan ahl-e-KHirad tewar badal kar baat karte hain
wo ibrat ke liye do chaar pagal bhej deta hai
hamare aaj ki jab koshishen nakaam hoti hain
hamein wo ek aur ummid ka kal bhej deta hai
Ghazal
Wo pathrai si aankhon ko bhi kajal bhej deta hai
Nadeem Farrukh