اردو हिंदी
Wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya | Shaahi Shayari
wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya

Ghazal

Wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya

Anwar Saharanpuri

;

wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya
jahan-e-ishq mein yak-bargi ek inqalab aaya

zamin ke zarre zarre se numayan ho gae jalwe
sar-e-gulzar wo rashk-e-qamar jab be-hijab aaya

mukarrar zindagani ka maza ho jaega hasil
dam-e-aKHir bhi qasid le ke gur KHat ka jawab aaya

muqaddar se mere donon ke donon bewafa nikle
na umr-e-bewafa palTi na phir ja kar shabab aaya

wafur-e-sharm se us aaftab-e-husn ke aage
jahan ka har hasin Dale hue munh par naqab aaya

dil-e-betab-o-taqat ko tasalli kuchh hui hasil
payam us but ke aane ka jo waqt-e-iztirab aaya

ajab pur-kaif aalam hai zamana mast hai 'anwar'
ki un ke chaudhwin man mein nazar rang-e-sharab aaya