اردو हिंदी
Wo parda zinat-e-dar ke siwa kuchh aur nahin | Shaahi Shayari
wo parda zinat-e-dar ke siwa kuchh aur nahin

Ghazal

Wo parda zinat-e-dar ke siwa kuchh aur nahin

Saif Bijnori

;

wo parda zinat-e-dar ke siwa kuchh aur nahin
hamare husn-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin

suragh-e-kahkashan ahl-e-dil ko mil hi gaya
tumhaari rahguzar ke siwa kuchh aur nahin

na jaane kaun sa ifa-e-ahd ka din ho
tumhein to sham-o-sahar ke siwa kuchh aur nahin

muraden ishq mein sab ko milen magar mujh ko
nasib dard-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin

ye kis tilism mein mujh ko hayat le aai
jahan fareb-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin

na puchhiye meri nakaami-e-manazil-e-shauq
husul-e-gard-e-safar ke siwa kuchh aur nahin

wo na-murad mohabbat hun jis ke daman mein
sarishk-e-dida-e-tar ke siwa kuchh aur nahin

hayat-e-ishq ki rudad kya kahun ai 'saif'
azab-e-sham-o-sahar ke siwa kuchh aur nahin