اردو हिंदी
Wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta | Shaahi Shayari
wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta

Ghazal

Wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta

Salman Akhtar

;

wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta
wo muddaton na mile dur ja nahin sakta

wo ek yaad jo dil se miTi nahin ab tak
wo ek nam jo honTon pe aa nahin sakta

wo ek hansi jo khanakti hai ab bhi kanon mein
wo ek latifa jo ab yaad aa nahin sakta

wo ek KHwab jo phir lauT kar nahin aaya
wo ek KHayal jise main bhula nahin sakta

wo ek sher jo main ne kaha nahin ab tak
wo ek raaz jise main chhupa nahin sakta