wo pas hai tere dur nahin tu wasil hai mahjur nahin
kyun habl-e-murkkab mein hai phansa muKHtar hai tu majbur nahin
sargarm-e-shauq-o-huzur nahin dil sard hai tu mahrur nahin
jis qalb mein ishq ka nur nahin wo tab-e-jalwa-e-tur nahin
har rang mein hai wo jalwa-numa tu ek hijab mein ja ke chhapa
kyun kor sawad hua hai bata kya aankhon mein tere nur nahin
jo ishq mein bar-sar-e-dar hua sardar wahi sarshaar hua
sarmast visal-e-yar hua kis tarah kahen mansur nahin
jo baatin mein mashghul hue mahbub hue maqbul hue
majhul hue maruf kahan mashhur jo hain manzur nahin
kyun mahw-e-sar-e-pindar hua ai musht-e-KHak hai naqsh-e-fana
duniya mein kahan hai rang-e-baqa jamshed nahin maghfur nahin
mastur jo tha manzur hua wo jalwa-e-rang-e-zuhur hua
jo hijab tha ruKH se dur hua mushtaq-laqa mahjur nahin
jo aap hua benam-o-nishan us ko hai mila wo jaan-e-jahan
meraj-e-visal hai us ko kahan jo ishq mein chakna-chur nahin
main tera fida-e-sarapa hun main talib-e-wasl-e-muarra hun
mushtaq-o-shaida tera hun main talib-e-hur-o-qusur nahin
maKHmur-e-jam-e-baqi hai shaida-e-nawa-e-iraqi hai
sarshaar-e-mohabbat 'saqi' hai sar-mast hai ye mastur nahin
Ghazal
Wo pas hai tere dur nahin tu wasil hai mahjur nahin
Pandit Jawahar Nath Saqi

