wo niyaz-o-naz ke marhale nigah-o-suKHan se chale gae
tere rang-o-bu ke wo qafile tere pairahan se chale gae
koi aas hai na hiras hai shab-e-mah kitni udas hai
wo jo rang rang ke aks the wo kiran kiran se chale gae
koi un ki aankhen sarahta koi wahshaton se nibahta
ki wo aahuwan-e-ramida-KHu ye suna KHutan se chale gae
kai mehr-o-mah utar aae the wo yahin the mere ghar aae the
wo kali kali se dar aae the wo chaman chaman se chale gae
mere dil ki aab-o-hawa lagi ki wafa bhi un ko KHata lagi
wahi sadgi se jo aae the wahi bankpan se chale gae
na to kufr ke na KHuda ke hum na dawa ke hum na dua ke hum
ki butan-e-kaba-e-arzu dil-e-barhaman se chale gae
ye mera fareb-e-nazar nahin mere ham-qadam the yahin kahin
mujhe aahaTen bhi na mil sakin wo baDe jatan se chale gae
ye baja ki tohfa-e-jaan liye tere pas aae the be piye
wo gadagaran-e-tahi-subu tere husn-e-zan se chale gae
yahi tujh se apna tha wasta yahi thi hayat-e-muashqa
teri KHalwaton ke sharik the teri anjuman se chale gae
pas-e-umr bazu-e-shauq par sar-e-naz tha to hui KHabar
kai rat-jage tere gesuon ki shikan shikan se chale gae
wo bujhe bujhe wo luTe luTe sar-e-rah 'shaz' mile to the
unhen ab watan mein na DhunDiye ki wo ab watan se chale gae

Ghazal
Wo niyaz-o-naz ke marhale nigah-o-suKHan se chale gae
Shaz Tamkanat