wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi
mil kar bhi na milne ki ada yaad rahegi
mumkin hai mere baad bhula den mujhe lekin
ta umr unhen meri wafa yaad rahegi
jab main hi nahin yaad rafiqan-e-safar ko
hairan hun ki manzil unhen kya yaad rahegi
kuchh yaad rahe ya na rahe zikr-e-gulistan
ghunchon ke chaTakne ki sada yaad rahegi
mahrum rahe ahl-e-chaman nikhat-e-gul se
be-ganagi-e-mauj-e-saba yaad rahegi
palkon pe larazte rahe 'anwar' jo shab-e-gham
mujh ko unhin taron ki ziya yaad rahegi
Ghazal
Wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi
Anwar Sabri