اردو हिंदी
Wo nigahon ko jab badalte hain | Shaahi Shayari
wo nigahon ko jab badalte hain

Ghazal

Wo nigahon ko jab badalte hain

Iqbal Safi Puri

;

wo nigahon ko jab badalte hain
dil sambhaale nahin sambhalte hain

manzilen dur hain kabhi nazdik
har qadam fasle badalte hain

kaun jaane ki ek tabassum se
kitne mafhum-e-gham nikalte hain

na guzar itni kaj-rawi se ki log
tere naqsh-e-qadam pe chalte hain

aag bhi un gharon ko lagti hai
jin gharon mein charagh jalte hain

jab bhi uThti hai wo nazar 'iqbaal'
shama ki tarah dil pighalte hain