wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain
dil mein nashtar ban ke Dubin aur pinhan ho gain
thin jo kal tak jalwa-afrozi se sham-e-anjuman
aaj wo shaklen charagh-e-zer-e-daman ho gain
ek nazar ghabra ke ki apni taraf us shoKH ne
hastiyan jab miT ke ajza-e-pareshan ho gain
dam ruka tha jis ki uljhan se mere sine mein aah
phir wahi zulfen mere gham mein pareshan ho gain
phunk di ek ruh dekha zor-e-ejaz-e-junun
jitni sansen main ne lin tar-e-gareban ho gain
ishq ke qisse ko hum sada samajhte the magar
jab waraq ulTe to aankhen saKHt hairan ho gain
chand taswiren meri jo muKHtalif waqton ki thin
baad mere zinat-e-diwar-e-zindan ho gain
uD ke dil ki KHak ke zarre gae jis jis taraf
rafta rafta wo zaminen sab bayaban ho gain
aaine mein aks hai aur aks mein jazb-e-KHalish
dil mein jo fansen chubhin taswir-e-mizgan ho gain
us ki sham-e-gham pe sadqe ho meri subh-e-hayat
jis ke matam mein teri zulfen pareshan ho gain
sham-e-wada aaiye to aap us ki fikr kya
phir bana dunga agar zulfen pareshan ho gain
kis dil-awara ki mayyat ghar se nikli hai 'aziz'
shahr ki aabaad rahen aaj viran ho gain
Ghazal
Wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain
Aziz Lakhnavi