wo nigahen jo dil-e-mahzun mein pinhan ho gain
shauq ki betabiyan baDh kar numayan ho gain
har musibat thi mujhe taza payam-e-afiyat
mushkilen jitni baDhin utni hi aasan ho gain
tir kha kha kar taDapna dil ki qismat hi mein tha
ya ilahi wo nigahen kyun pashiman ho gain
ek zara se muskura dene ka hasil ye hua
hastiyan ghunchon ki auraq-e-pareshan ho gain
shauq phir sarf-e-chaman-arai-e-KHatir hai aaj
phir wahi ranginiyan jaan-e-gulistan ho gain
shisha-e-dil aks-bardar-e-tamanna phir hua
phir farozan shama-ha-e-taq-e-nisyan ho gain
Ghazal
Wo nigahen jo dil-e-mahzun mein pinhan ho gain
Hadi Machlishahri