اردو हिंदी
Wo nigah mil ke nigah se ba-ada-e-KHas jhijhak gai | Shaahi Shayari
wo nigah mil ke nigah se ba-ada-e-KHas jhijhak gai

Ghazal

Wo nigah mil ke nigah se ba-ada-e-KHas jhijhak gai

Waqar Bijnori

;

wo nigah mil ke nigah se ba-ada-e-KHas jhijhak gai
to ba-rang-e-KHun meri aarzu meri chashm-e-tar se Tapak gai

kabhi ashk ban ke Dhalak gai kabhi rashk ban ke jhalak gai
wo sharab jam-e-hayat se jo shabab ban ke chhalak gai

meri aah-e-saiqa-bar jab mere tur-e-dil pe chamak gai
jo zamin se ta-ba-falak gai to falak se ta-ba-samak gai

main zahe-nasib ghira hua hun tajalliyon ke hujum mein
ye shua kis ke jamal ki meri zulmaton mein chamak gai

usi be-panah-e-nigah ka mujhe bar bar hadaf bana
ki dil aaj jhum ke dil bana rag-e-jaan bhi meri phaDak gai

pas-e-dafn bhi na sukun mila tah-e-KHak hasrat-e-ishq ko
kabhi sabza ban ke lahak uThi kabhi phul ban ke mahak gai

teri chashm-e-mast ne saqiya bhare mai-kade ko bhula diya
kabhi yaad ban ke baras gai kabhi shisha ban ke khanak gai

koi kash aa ke 'waqar' ke bhi shikasta saz ko chheD de
wo junun-nawaz hawa chali wo qaba-e-ghuncha masak gai