اردو हिंदी
Wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai | Shaahi Shayari
wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai

Ghazal

Wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai

Niyaz Haidar

;

wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai
wo ada jo sehr-e-tamam se bhi siwa karishma dikha gai

yahi jam partaw-e-ruKH tera yahi teri zulf ko aaina
mah o abru mai ki hasin faza ise rokna ye faza gai

wo misal-e-barq numud gum-gashtagi tabassum-e-be-aman
shafaq-afrin si wo mauj lab dil o jaan mein aag laga gai

wo siyah-rang shamim-sham-e-visal ki jo nawed hai
is alam-gazida firaq mein wahi zulf yaad phir aa gai

shah-e-dilbaran tujhe kya KHabar dil-e-rind-e-KHak-nashin hai kya
isi KHak ne use dil kiya yahi KHak us ko miTa gai

wo sitam-shiar sahi magar hai wahi qarar-e-dil-o-nazar
wo rahe to rasm-e-wafa rahe na rahe to rasm-e-wafa gai