اردو हिंदी
Wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche | Shaahi Shayari
wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche

Ghazal

Wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche

Muhammad Ayyub Zauqi

;

wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche
ki quud se jo guzre to qayam tak na pahunche

wo hayat kya ki jis mein na KHushi ke sath gham ho
wo sahar bhi kya sahar hai ki jo sham tak na pahunche

tere mai-kade ka saqi ye chalan bhi kya chalan hai
ki jo hath tishna-kaamon ke bhi jam tak na pahunche

mari na-muradiyon ki yahi intiha hai shayad
teri bargah-e-ali mein salam tak na pahunche

use apni bad-nasibi na kahen to phir kahen kya
ki hazar koshishon par rah-e-am tak na pahunche

ye muKHasamat ke jazbe ye mahaz hasidon ke
magar umr bhar wo 'zauqi' ke maqam tak na pahunche