wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmon riwajon se baghawat hai to hai
sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya
ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai
kab kaha main ne ki wo mil jae mujh ko main use
ghair na ho jae wo bas itni hasrat hai to hai
jal gaya parwana gar to kya KHata hai shama ki
raat bhar jalna jalana us ki qismat hai to hai
dost bin kar dushmanon sa wo satata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai
dur the aur dur hain har dam zamin-o-asman
duriyon ke baad bhi donon mein qurbat hai to hai
Ghazal
Wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai
Deepti Mishra