wo nahin hun main ki jis par koi ashk-bar hota
kabhi shama bhi na roti jo mera mazar hota
shab-e-gham mein zindagi ka kise e'tibar hota
meri jaan ja chuki thi jo na intizar hota
meri dastan-e-gham ko wo ghalat samajh rahe hain
kuchh unhin ki baat banti agar e'tibar hota
yahi soz-e-ishq jis ko main hamesha raaz samjha
jo hijab-e-dil na jalta to na aashkar hota
main shikayat zamana jo karun to kya samajh kar
na ye daur-e-charKH hota na ye rozgar hota
dil-e-para-para tujh ko koi yun to dafn karta
wo jidhar nigah karte udhar ek mazar hota
mai-e-ishq josh-zan hai ye lahu nahin ragon mein
mera nashsha kyun utarta mujhe kyun KHumar hota
mere dil ne baDh ke roka tere tir-e-jaan-fishan ko
jo ye beach mein na paDta to jigar ke par hota
wo lahad pe un ka aana wo qadam qadam pe mahshar
meri nind kyun uchaTti agar ek bar hota
shab-e-hijr baad mere agar is jahan mein rahti
to yahi siyah daftar mera yaadgar hota
jo hamare dekhne ko kabhi aap aa nikalte
wahi aankh dar pe hoti wahi intizar hota
wo shabab ke fasane jo main sun raha hun dil se
agar aur koi kahta to na e'tibar hota
ye zamana baDh raha hai faqat iztirab-e-dil se
shab-e-gham na yun Thaharti jo mujhe qarar hota
wo jahan mein aag lagti ki bujhae se na bujhti
mere dud-e-dil mein 'saqib' jo koi sharar hota
Ghazal
Wo nahin hun main ki jis par koi ashk-bar hota
Saqib Lakhnavi