wo nahin hai to zindagi kaisi
is andhere mein raushni kaisi
dil ki barbaadiyon ke matam par
zer-e-lab hai tere hansi kaisi
kaun rah rah ke yaad aata hai
dil mein rahti hai bekali kaisi
soz-e-dil ne badan jala Dala
phir mere ruKH pe tazgi kaisi
ham-safar ho ke karwan lauTa
rahbari mein ye rahzani kaisi
mujh ko ehsas-e-asman na raha
chhanw zulfon ki thi ghani kaisi
mujh se barbaad-e-ishq par ai dost
mahw-e-hairat hun barhami kaisi
rasm-e-duniya ajib hai yaro
gham hi gham hai yahan KHushi kaisi
dil ki duniya tabah kar Dali
ye shararat ye dil-lagi kaisi
kis ki nazron mein aa gaya main 'nazir'
mere sheron mein naghmagi kaisi
Ghazal
Wo nahin hai to zindagi kaisi
Nazeer Rampuri