wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar
numayan ho gaya zauq-e-sitam chin-e-jabin ban kar
bahut itra rahi hai raat zulf-e-ambarin ban kar
bahut maghrur hai nur-e-sahar rang-e-jabin ban kar
meri jama-dari ne raaz ye khola zamane par
KHirad dhoke diya karti hai jaib o aastin ban kar
karam mein bhi magar ek ghamza-e-KHun-rez shamil tha
nigahon ki taraf uTThi to dil ki nukta-chin ban kar
meri diwangi thi ek sharar-e-arzu dil mein
baDhi to dar par raushan hui sham-e-yaqin ban kar
payam aate rahe aksar kisi mahw-e-taghaful ke
ada-e-bar-mala ban kar nigah-e-sharmagin ban kar
wo ek sajda na ho paya jo barbaad-e-haram 'taban'
jabin-e-shauq par raushan hai pindar-e-jabin ban kar

Ghazal
Wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar
Taban Ghulam Rabbani