wo naznin ada mein ejaz hai sarapa
KHubi mein gul-ruKHan sun mumtaz hai sarapa
ai shoKH tujh nayan mein dekha nigah kar kar
aashiq ke marne ka andaz hai sarapa
jag ke ada-shanasan hai jin ki fikr aali
tujh qad kun dekh bole yu naz hai sarapa
kyun ho saken jagat ke dilbar tere barabar
tu husn haur ada mein ejaz hai sarapa
gahe ai iswi-dam yak baat lutf sun kar
jaan-baKHsh mujh ko tera aawaz hai sarapa
mujh par 'wali' hamesha dildar mehrban hai
har-chand hasb-e-zahir tannaz hai sarapa

Ghazal
Wo naznin ada mein ejaz hai sarapa
Wali Mohammad Wali