اردو हिंदी
Wo nam zahr ka rakh den dawa to kya hoga | Shaahi Shayari
wo nam zahr ka rakh den dawa to kya hoga

Ghazal

Wo nam zahr ka rakh den dawa to kya hoga

Muhammad Ayyub Zauqi

;

wo nam zahr ka rakh den dawa to kya hoga
kahen jo KHun ko rang-e-hina to kya hoga

chaman ki samt chala to hai karwan-e-bahaar
jo rahzan hi hue rahnuma to kya hoga

harif-e-sail-e-hawadis to hai safina-e-qaum
jo nazr-e-mauj hua na-KHuda to kya hoga

taras raha hai zamana sukun-e-dil ke liye
sukun-e-dil na mayassar hua to kya hoga

chaman ke ishq mein ahl-e-wafa ye bhul gae
badal gai jo chaman ki faza to kya hoga

guzar rahi hain nigahen had-e-tajassus se
mila na koi jo dard-ashna to kya hoga

hamara KHun tha shadabi-e-chaman ka sabab
jo ye chaman ke na kaam aa saka to kya hoga

gham-e-hayat se yun to hain ashk-bar aankhen
nazar se KHun Tapakne laga to kya hoga

bayan karun to sahi un ki dastan-e-sitam
wo ho gae use san kar KHafa to kya hoga

bas ek nigah-e-karam tak hai zindagi ka nashat
jo ye bhi TuT gaya aasra to kya hoga

abhi hai mohlat-e-husn-e-amal uTho 'zauqi'
jawab dene lage dast-o-pa to kya hoga