اردو हिंदी
Wo na aaega yahan wo nahin aane wala | Shaahi Shayari
wo na aaega yahan wo nahin aane wala

Ghazal

Wo na aaega yahan wo nahin aane wala

Farooq Bakshi

;

wo na aaega yahan wo nahin aane wala
mujh ko tanhai ka ehsas dilane wala

kya KHabar thi ki taras jaega tabiron ko
apni aankhon mein tere KHwab sajaane wala

apni tadbir ke anjam se na-waqif hai
haal taqdir ka auron ko batane wala

meri rag rag mein lahu ban ke rawan ho jaise
mere sae se bhi daman ko bachane wala

kaamyabi se bahar-haal KHushi hoti hai
hans raha hai mujhe diwana banane wala

bazm ki aur hai tanhai ki duniya kuchh aur
raat bhar rota raha din mein hansane wala

hama-tan gosh bana deta hai mujh ko 'faruq'
us ki baaton ka wo andaz lubhane wala