wo muntazir hain hamare to hum kisi ke hain
alamaton mein ye aasar KHud-kushi ke hain
pas-e-murad bahut KHwab hain nigahon mein
samundaron mein jazire ye raushni ke hain
main apne aap ko dushman ke sarf mein de dun
ye mashware to meri jaan wapsi ke hain
hujum-e-aks hai aur aaina-sifat hun main
so mere jitne bhi dukh hain wo aagahi ke hain
kisi qaba ko mayassar hai faKHera hona
kisi libas mein paiwand muflisi ke hain
main us se dukh ke bhi us ko duaen deti hun
ajib rang mohabbat mein dushmani ke hain
main jab bhi chahun jabhi us se guftugu kar lun
meri ghazal pe ye ehsan shairi ke hain
jo shahr-e-sang mein shisha-mizaj hain 'ruhi'
wo zimmedar KHud apni shikastagi ke hain
Ghazal
Wo muntazir hain hamare to hum kisi ke hain
Rehana Roohi