wo mujhe KHak se bahar nahin jaane dete
dast-e-sahil se samundar nahin jaane dete
sath par aae hue ban ke kaf o mauj o hubab
zer-e-dariya yahi gauhar nahin jaane dete
hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab
zaKHm bahar ke jo andar nahin jaane dete
mujh ko is gumbad-e-be-dar se pare ka bhi hai zauq
ye mere baal mere par nahin jaane dete
hadd-e-aflak pe ja kar to sada de aaya
magar aflak se upar nahin jaane dete
Ghazal
Wo mujhe KHak se bahar nahin jaane dete
Khursheed Rizvi