wo mujhe aasra to kya dega
chalta dekhega to gira dega
qarz to tera wo chuka dega
lekin ehsan mein daba dega
hausle honge jab buland tere
tab samundar bhi rasta dega
ek din tere jism ki rangat
waqt Dhalta hua miTa dega
hath par hath rakh ke baiTha hai
khane ko kya tujhe KHuda dega
lakh gali faqir ko de lo
is ke badle bhi wo dua dega
KHwab kuchh kar guzarne ka tera
gahri nindon se bhi jaga dega
kya pata tha ki jalte ghar ko mere
mera apna saga hawa dega
Ghazal
Wo mujhe aasra to kya dega
Abhishek Kumar Amber