wo mizaj puchh lete hain salam kar ke dekho
jo kalam ho kuchh is mein to kalam kar ke dekho
kai rind-shaiKH aise bhi hain duKHt-e-raz pe shaida
jo halal kar ke rakh denge haram kar ke dekho
tum isi liye bane ho ki banao baaten waiz
kisi kaam ke agar ho to wo kaam kar ke dekho
ye hamein bhi dekhna hai tumhein kya kahegi duniya
jo karam hai KHas hum par use aam kar ke dekho
jo nasib aazmana hai to raat kaisi din kya
kahin subh kar ke dekho kahin sham kar ke dekho
gham-e-zist ko na dekho ki fareb-e-zindagi hai
ye masarraton ke arman to tamam kar ke dekho
koi jins-e-dil ka shayad tumhein mil bhi jae gahak
kahin le ke jao 'natiq' kabhi dam kar ke dekho
Ghazal
Wo mizaj puchh lete hain salam kar ke dekho
Natiq Gulavthi