wo mizaj dil ke badal gae ki wo karobar nahin raha
meri jaan tere firaq mein koi sogwar nahin raha
teri aarzu kahin kho gai meri justuju-e-fuzul mein
mujhe ain waqt visal mein tera intizar nahin raha
na KHirad rahi na junun bacha dil-e-pur-ghurur ye kya hua
tujhe apne aap pe KHud bhi ab zara e'tibar nahin hai
dam-e-awwalin ke wo silsile wo tamam kar-e-jahan mere
rahe na-tamam ki rah mein dam-e-mustaar nahin raha
teri bazm jo ye saji nai yahan sara husn hai ajnabi
koi chashm ab nahin surmagin koi gul-ezar nahin raha
yahan mabadon ke hujum mein na bacha hai koi bhi mai-kada
kise shahr mein kahen ham-nawa koi baada-KHwar nahin raha
Ghazal
Wo mizaj dil ke badal gae ki wo karobar nahin raha
sulaiman ahmad mani