اردو हिंदी
Wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha | Shaahi Shayari
wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha

Ghazal

Wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha

Jamal Ehsani

;

wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha
jo ek inam meri haar par rakkha hua tha

main baen hath se dushman ke hamle rokta tha
ki dayan hath to dastar par rakkha hua tha

wahi to ek sahra-ashna tha qafile mein
wo jis ne aable ko KHar par rakkha hua tha

visal o hijr ke phal dusron ko us ne baKHshe
mujhe to rone ki begar par rakkha hua tha

musallam thi saKHawat jis ki duniya bhar mein us ne
mujhe tanKHwah-e-be-dinar par rakkha hua tha

KHat-e-taqdir ke saffak o afsurda sire par
mera aansu bhi dast-e-yar par rakkha hua tha

falak ne us ko pala tha baDe naz-o-niam se
sitara jo tere ruKHsar par rakkha hua tha

wahi to zinda bach ke aae hain teri gali se
jinhon ne sar teri talwar par rakkha hua tha

wo subh o sham miTTi ke qaside bhi sunata
aur us ne hath bhi ghaddar par rakkha hua tha

tere raste mein meri donon aankhen thin farozan
diya to bas tere israr par rakkha hua tha