اردو हिंदी
Wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha | Shaahi Shayari
wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha

Ghazal

Wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha

Mirza Ghalib

;

wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha
raaz-e-maktub ba-be-rabti-e-unwan samjha

yak alif besh nahin saiqal-e-aina hanuz
chaak karta hun main jab se ki gareban samjha

sharh-e-asbab-e-giriftari-e-KHatir mat puchh
is qadar tang hua dil ki main zindan samjha

bad-gumani ne na chaha use sargarm-e-KHiram
ruKH pe har qatra araq dida-e-hairan samjha

ijz se apne ye jaana ki wo bad-KHu hoga
nabz-e-KHas se tapish-e-shola-e-sozan samjha

safar-e-ishq mein ki zoaf ne rahat-talabi
har qadam sae ko main apne shabistan samjha

tha gurezan mizha-e-yar se dil ta dam-e-marg
daf-e-paikan-e-qaza is qadar aasan samjha

dil diya jaan ke kyun us ko wafadar 'asad'
ghalati ki ki jo kafir ko musalman samjha

hum ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahan mein jun shama
shoala-e-ishq ko apna sar-o-saman samjha