wo mere sine se aaKHir aa laga
mar na jaun main kahin aisa laga
ret mazi ki meri aankhon mein thi
sabz jangal bhi mujhe sahra laga
kho rahe hain rang tere honT ke
ham-nashin in pe mera bosa laga
lahr ek nikli meri pahchan ki
Dubte ke hath mein tinka laga
kar raha tha wo mujhe gumrah kya
har qadam pe rasta muDta laga
kuchh nahin chhoDo nahin kuchh bhi nahin
ye nae andaz ka shikwa laga
gend balle par kabhi baiThi nahin
har dafa mujh se faqat kona laga
dur jate waqt bas itna kaha
sath 'kanha' aap ka achchha laga

Ghazal
Wo mere sine se aaKHir aa laga
Prakhar Malviya Kanha