اردو हिंदी
Wo mere shahr mein aata hai chala jata hai | Shaahi Shayari
wo mere shahr mein aata hai chala jata hai

Ghazal

Wo mere shahr mein aata hai chala jata hai

Hashim Raza Jalalpuri

;

wo mere shahr mein aata hai chala jata hai
sab ko diwana banata hai chala jata hai

zindagi jis ki ujaD jati hai is se puchho
zalzala shahr mein aata hai chala jata hai

ek do bund baras kar ye garajta baadal
dasht ki pyas baDhata hai chala jata hai

naKHuda hi nahin maujon ka thapeDa aksar
kashtiyan par lagata hai chala jata hai

kaun wo kursi-nashin hai ki har aane wala
sar-e-taslim jhukata hai chala jata hai

jaane kab se wo sar-e-sham mazar-e-dil par
sham-e-ummid jalata hai chala jata hai