wo mere dil ke talabgar nazar aate hain
shadmani ke ab aasar nazar aate hain
jo mere nam se bezar nazar aate the
ab wahi dil ke talabgar nazar aate hain
ab mohabbat ke parastar kahan ai saqi
sab mohabbat ke KHaridar nazar aate hain
ab ke gulshan mein ajab rang se aai hai bahaar
shaKH-e-gul par bhi hamein KHar nazar aate hain
hae ummid ka paband-e-karam ho jaana
aaj hum zist se bezar nazar aate hain
hashr mein kis se karun kis ki shikayat ai dil
sab usi but ke taraf-dar nazar aate hain
KHud manane ko jinhen rahmat-e-haq aai hai
unche darje ke gunahgar nazar aate hain
ye hai mai-KHana to phir aaj se meri tauba
sab yahan zahid-o-din-dar nazar aate hain
us ki begana-rawi ka ye fusun to dekho
aaj ahbab bhi aghyar nazar aate hain
phir wo mail-ba-karam hone lage hain 'sahir'
phir gham-o-ranj ke aasar nazar aate hain

Ghazal
Wo mere dil ke talabgar nazar aate hain
Sahir Hoshiyarpuri