wo mile to be-takalluf na mile to be-irada
na tariq-e-ashnai na rusum-e-jam-o-baada
teri nim-kash nigahen tera zer-e-lab tabassum
yunhi ek ada-e-masti yunhi ek fareb-e-sada
wo kuchh is tarah se aae mujhe is tarah se dekha
meri aarzu se kam-tar meri tab se ziyaada
ye dalil-e-KHush-dili hai mere waste nahin hai
wo dahan ki hai shagufta wo jabin ki hai kushada
wo qadam qadam pe laghzish wo nigah-e-mast saqi
ye tarash-e-zulf-e-sarkash ye kulah-e-kaj-nihada
Ghazal
Wo mile to be-takalluf na mile to be-irada
Mohammad Deen Taseer