wo meri jaan hai dil se kabhi juda na hua 
ki us ka gham hi meri zist ka baha na hua 
nazar ne jhuk ke kaha mujh se kya dam-e-ruKHsat 
main sochta hun ki kis dil se wo rawana hua 
nam-e-saba mai-e-mahtab itr-e-zulf-e-shamim 
wo kya gaya ki koi karwan rawana hua 
wo yaad yaad mein jhalka hai aaine ki tarah 
is aaine mein kabhi apna samna na hua 
wo chand saaten jo us ke sath guzri hain 
unhi ka daur raha aur jawedana hua 
main us ke hijr ki tarikiyon mein Duba tha 
wo aaya ghar mein mere aur charagh-e-KHana hua 
wo lauT aaya hai ya meri KHud-farebi hai 
nigah kahti hai dekhe use zamana hua 
main apne dard ki nisbat ko dil samajhta hun 
qafas jo TuT gaya mera aashiyana hua 
usi ki yaad hai sarmaya-e-hayat 'zafar' 
nahin to mera hai kya main hua hua na hua
        Ghazal
Wo meri jaan hai dil se kabhi juda na hua
Yusuf Zafar

