اردو हिंदी
Wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya | Shaahi Shayari
wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya

Ghazal

Wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya

Saima Naseem bano

;

wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya
phir is tarah gaya mujhe betab kar gaya

kajal bhi nind ka meri aankhon se le uDa
KHwabon mein aa ke wo mujhe be-KHwab kar gaya

us ne to iztirab ke mani sujha diye
aisi nigah ki mujhe betab kar gaya

jins-e-giran samajh ke nahin dekhta koi
mujh ko wo ek jauhar-e-nayab kar gaya

jauf-e-sadaf samajh ke paDi abr ki nazar
thi sath-e-ab par wo tah-e-ab kar gaya

baqi rahe na baam-o-dariche na hi fasil
kya haal mere dil ka ye sailab kar gaya

sahir tha dewta tha koi but-tarash tha
patthar thi ek 'bano' wo simab kar gaya