wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha
jo ek tir mere dost ki kaman mein tha
wo zer-e-saya-e-altaf-e-baghban mein tha
jo aashiyana zad-e-barq-e-be-aman mein tha
figar lai se hua meri sina-e-nai bhi
nafas nafas teri chahat ka imtihan mein tha
ye moajaza tha yaqinan teri mohabbat ka
jo auj-e-fikr-o-taKHayyul mere bayan mein tha
wo jis ne dhup ki parchhain tak nahin dabi
use samajhte ho har lamha saeban mein tha
muKHalifon ko bhi apna bana liya tu ne
ajib tarah ka jadu teri zaban mein tha
niyaz-e-ishq ne aaKHir uTha diya 'atish'
wo ek parda sa hael jo darmiyan mein tha
Ghazal
Wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha
Aatish Bahawalpuri