wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein
main ek zarra inayaton par main ek gardish kasafaton mein
giraft aur us ki kar raha hun jo aab hai in basaraton ki
kamand aur us pe phenkta hun jo tah-e-nashin hai samaaton mein
mere liye shahr-e-kaj mein rakkha hi kya hai jo apne gham ganwaun
wo ek daman bahut hai mujh ko sukut-afza faraghaton mein
main ek shab kitni raaten jaga wo mah bite ki sal guzre
pahaD sa waqt kaTta hun shumar karta hun saaton mein
tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare
kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein
wo bojh sar par uTha rakha hai ki jism o jaan tak hain chur jin se
pachas barson ki zillaten jo hamein mili thin wirasaton mein
Ghazal
Wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein
Atiiqullah