wo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jata
magar in ehtiyaton se talluq mar nahin jata
bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain
kisi ko sath duniya se koi le kar nahin jata
gharon ki tarbiyat kya aa gai TV ke hathon mein
koi bachcha ab apne bap ke upar nahin jata
khule the shahr mein sau dar magar ek had ke andar hi
kahan jata agar main lauT ke phir ghar nahin jata
mohabbat ke ye aansu hain unhen aankhon mein rahne do
sharifon ke gharon ka masala bahar nahin jata
'wasim' us se kaho duniya bahut mahdud hai meri
kisi dar ka jo ho jae wo phir dar dar nahin jata
Ghazal
Wo mere ghar nahin aata main uske ghar nahin jata
Waseem Barelvi