wo mera yar tha mujh ko na ye KHayal aaya
main apne zehan ka sab bojh us pe Dal aaya
ab us ke pas koi sang phenkne ko nahin
faza mein aaKHiri patthar bhi wo uchhaal aaya
tamam bhiD mein ek main hi pur-sukun tha bahut
tamam bhiD ko mujh par hi ishtial aaya
ajab junun hai ye intiqam ka jazba
shikast kha ke wo pani mein zahr Dal aaya
kal apne-ap se jab laDte laDte haar gaya
to ek shaKHs ka phir der tak KHayal aaya
wo be-sabab hi KHafa tha magar main aaj 'azhar'
gale mein us ke bhi banhon ka haar Dal aaya
Ghazal
Wo mera yar tha mujhko na ye KHayal aaya
Azhar Inayati