اردو हिंदी
Wo mera dard-e-dil kya jaante hain | Shaahi Shayari
wo mera dard-e-dil kya jaante hain

Ghazal

Wo mera dard-e-dil kya jaante hain

Munawar Khan Ghafil

;

wo mera dard-e-dil kya jaante hain
taDapne ko tamasha jaante hain

bahaar-e-gul hai KHar aankhon mein tujh bin
chaman ko hum to sahra jaante hain

kahen kya haal-e-dil apna buton se
jo hai dil mein tamanna jaante hain

satana qatl karna phir jalana
wo be-talim kya kya jaante hain

malen hum kyun na aankhen barg-e-gul se
ise tera kaf-e-pa jaante hain

raqibon par sitam itna na kije
unhen bhi aap hum sa jaante hain

yahan tak ijz ke KHugar hain 'ghafil'
buron ko bhi hum achchha jaante hain