اردو हिंदी
Wo mausam be-KHudi ke the jo mausam hum guzar aae | Shaahi Shayari
wo mausam be-KHudi ke the jo mausam hum guzar aae

Ghazal

Wo mausam be-KHudi ke the jo mausam hum guzar aae

Malika Naseem

;

wo mausam be-KHudi ke the jo mausam hum guzar aae
ki jab chaha tumhaare nam se KHud ko pukar aae

safar ki sab aziyyat muntazir aankhen agar le len
paron mein taqat-e-parwaz phir be-iKHtiyar aae

main tishna-lab zaminon par kahan tak chashm-e-tar rakhti
safar mein zindagi ke har qadam par reg-zar aae

ghamon ke dosh par jab qarya-e-jaan ka safar Thahra
charagh ashkon ke rakhe KHwab palkon se utar aae

mere KHwabon ke sare rang jis ki muTThiyon mein hain
na jaane ab wo kya chahe yahan kyun bar bar aae

badalte mausamon ko KHun se rangin pairahan de kar
chalo hum dast-e-qatil ka har ek ehsan utar aae

wafa ke tishnagi ke aur kuchh masum wadon ke
ye sare qarz dekho hum lab-e-dariya utar aae