wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai
hum jaante hain aap se kahne ki nahin hai
yun KHush na ho ai shahr-e-nigaran ke dar o baam
ye wadi-e-saffak bhi rahne ki nahin hai
ai kash koi koh-e-nida hi se pukare
diwar-e-sukut aap hi Dhahne ki nahin hai
kyun aks-e-gurezan se chamak bujh gai dil ki
ye raat to mahtab ke gahne ki nahin hai
raqqasa-e-sahra-e-junun bhi hai yahi mauj
yak chashma-e-KHun-nab se bahne ki nahin hai
ek tarfa tamasha hai mujhe shoKHi-e-guftar
aashuftagi-e-'mir' bhi sahne ki nahin hai
Ghazal
Wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai
Kabir Ajmal